Is video mein, hum YouTube creator ke taur par surakshit rahne se jude 2 aspects par baat karenge: 1) Dreator ke taur par apni journey ko surakshit rakhne wale aise tareeqon ki checklist jinhein kabhi bhi istemaal kiya jaa sakta hai aur, 2) Kisi incident hone par support paane ke liye steps aur resources.
Hum aapko account hijacking; harmful comments; doxxing; aur personal details share hone jaisi problems se bachne ke tareeqe bhi bataayenge.
Iske baad hum bataayenge ki account hijack ho jaane; aapki yaa aapke channel ki identity chori ho jaane; aur koi dhamki milne yaa violence hone par kya karein. Saath hi, apni well-being kaa dhyaan kaise rakhein.
0:00 Introduction
1:04 Safety banaaye rakhne aur khatre se bachne ke liye steps
1:46 Account Security (Hijacking se bachna)
2:50 Comments ko control karna (Harmful Comments ko rokna)
3:51 Doxxing ko rokna
5:36 Viewers ke saath personal details share karne ki limits set karna
6:39 Koi incident hone par resources aur support paana
7:42 Hijack huye account ko recover karna
9:08 Aapki yaa aapke channel ki identity aur content chori yaa copy hona
10:23 Dhamki milna
10:56 Well-being
Zyaada jaankari ke liye,
https://www.youtube.com/creators/safety/ par Creator Safety Center zaroor dekhein
Advanced Protection:
https://support.google.com/accounts/answer/7519408
Privacy Complaint ki process:
https://support.google.com/youtube/answer/142443
Hack ho chuke YouTube account ko fix karna:
https://support.google.com/youtube/answer/76187
Security Check-up: myaccount.google.com/security-checkup
Account recovery: accounts.google.com/signin/recovery
Channels, videos, aur baaki content ki complaint karna:
https://support.google.com/youtube/answer/2802027
Apne area mein help paana ("Main support paane ke liye kya karoon?"):
https://support.google.com/youtube/answer/2802245